bewafa shayari

 Bewafai Ka Mahool Hota Hai

Bada afsoos hota hai jab aapka zikra hota hai
Toh bewafai ka mahool hota hai...
Jaanta hun aap bewafa nahi ho magar
Dard toh es dil ko hota hai…

Pyar ka Jahan me Badla Hai Bewafai
Apne hi dilke hathon barbaad ho gaye hum,
Kisse kare shikayat ab kiski de duhayi,
Duniya banana wale, main tujhse puchhta hun,
kya pyar ka jahan me badla hai bewafai...

Bewafai Ka Ye Aalam
Bewafai Ka Ye Aalam Hume Bardash Na Hota,
Jo Apne Darmiyan Yeh Maut Ka Farman Na Hota,
Hoti Chahe Jitni Bhi Dikkat Khuda,
Kash Apna Pyaar Jawan Na Hota.


Agar Milti Bewafao Ko
Is jahanme mohabbat kash na hoti
To safar-e-zindagi me Kharash na hoti,
Agar milti bewafao ko saza me maut
To diwano ki kabrein udas na hoti…

Bewafai ka Kata
Saanp ka kata sota ha
bichu ka kata rota hai,
Par bewafai ka kata
toa na rota hai na sota hai.

Nahin Shikawa Mujhe
nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho...


Ek bewafa se wafa kar rahi hu main
usse nahi khud se zafa kar rahi hu main
wo jee raha hai shaan se apni zindagi
aur zindagi ko khud se khafa kar rahi hu main

Thukra ke usne mujhko
kaha ki muskuraao
Maine has diya
aakhir sawal uski khushi ka tha
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha


 Jiske pyaar ke liye humne sabko daga diya
Jiski yaad me humne rab ko bhula diya
Phir bhi tohfa mila mujhe intezaar ka
Jiske izhaar ki khatir khud ko mita diya

Kabhi khushi mili to kabhi rooth gayi mujhse
Teri yaad meri zidagi loot gayi mujhse
Itna dard tha mila tere pyaar se mujhe
Bandagi mere rab ki bhi chhooth gayi mujhse


Kisi se dil lagaya na hota
Gham itna ankho me aaya na hota
Samajhte kisi ko na puri duniya apni
Duniya me khudko tanha paya na hota

Ham to bewafa se bhi wafa nibhate hai
unhe sahara dekar khud besahara ho jaate hai
ab ye baat samajh me aayi hai
pyar ka duja naam hi bewafai hai
log to yun hi aap ko badnam kiya karte hai


Unhe alvida keh rahe the
ham toh rote-rote
khuch khas nahi yaaro
unki kashti paar laga rahe the
ham apni kashti dubo ke


Aap ke paas hamare liye waqt na tha shayad
masroof hogi kuch khas logo ke sath
jab aapko jamaane bhar ki khushiya di hamne
hame zindagi bhar ki tanhai mili
aapki kuch hasin yaado ke sath



Kal tak ham apki jaan hua karte the
pata nahi kitni bar izhaar-e-mohabbat kiya karte the
aajkal pata nahi kya hua unhe ke baat cheet kuchh kam kiya karte hai
gaur se socha to pata chala
ke pehle ham unki zarurat hua karte hai



Facebook

About Us

Random Posts

Recent Posts

Flickr